Saturday, January 23, 2010

माजूरी (helplessness)



माजूरी (helplessness)खल्वत--जलवत (alone and in public) में तुम मुझसे मिली हो बारहा (again and again),तुमने क्या देखा नहीं, मैं मुस्कुरा सकता नहीं,मेरी मायूसी मेरी फितरत (nature) में दाखिल हो चुकी,जब्र (coerce, force)भी खुद पर करून तो गुनगुना सकता नहीं,मुझ में क्या देखा की तुम उल्फत का दम भरने लगीं,मैं तो खुद , अपने भी कोई काम सकता नहीं,रूह-अफज़ा(elevating)हैं जूनून--इश्क (passion, craziness of love) के नगमे मगर,अब मैं इन गाये हुए गीतों को गा सकता नहीं,मैं ने देखा है शिकस्त--साज़--उल्फत का सामान (the view of a broken music instrument of love),अब किसी तहरीक (Inspiration) पर बरबत (musical instrument) उठा सकता नहीं,दिल तुम्हारी शिद्दत--अहसास (the intensity of feelings) से वाकिफ (knowing, aware) तो है,अपने एहसासात से दामन चुरा सकता नहीं,तुम मेरी होकर भी बेगाना ही पाओगी मुझे,मैं तुम्हारा होके भी तुम में समा सकता नहीं,गाये हैं मैंने ख़ुलूस--दिल (pure hearted) से भी उल्फत का गीत,अब रियाकारी (pretending) से भी चाहूँ तो गा सकता नहीं,किस तरह तुमको बना लूं मैं शरीक--ज़िन्दगी (part of life),मैं तो अपनी ज़िन्दगी का बार (weight) उठा सकता नहीं,यास (disheartened, sad) की तारीकियों (darkness)में डूब जाने दो मुझे,अब मैं शमा--आरज़ू (candle of desire, light of desire) की लौ बढ़ा सकता नहीं.Khalwat-o-jalwat (alone and in public) meiN tum mujhse mili ho baarahaa (again and again)tumne kya dekha nahiiN, maiN muskuraa saktaa nahiiNmaiN ki maayoosi meri fitrat(nature) meiN daaKhil ho chukijabr(coerce, force) bhi Khud par karouN to gungunaa saktaa nahiiNmujh meiN kyaa dekha ki tum ulfat ka dam bharne lagiiNmaiN to Khud apne bhi koii kaam aa saktaa nahiiNrooh-afzaa (elevating) haiN juunuun-e-ishq (passion, craziness of love) ke naghme magarab main in gaaye hue geetoN ko gaa saktaa nahiiNmaiN ne dekha hai shikast-e-saaz-e-ulfat ka samaaN (the view of a broken music instrument of love)ab kisii tahreek (Inspiration) par barbat (musical instrument) uThaa saktaa nahiiNdil tumhaari shiddat-e-ahsaas (the intensity of feelings) se waaqif (knowing, aware) to haiapne ehsaasaat se daaman chhuRaa saktaa nahiiNtum mirii hokar bhi begaanaa hi paaogii mujhemaiN tumhaaraa hoke bhi tum meiN samaa saktaa nahiiNgaaye haiN maiN ne Khuloos-e-dil (pure hearted) se bhi ulfat ke geetab riyaakaarii (pretending) se bhi chaahouN to gaa saktaa nahiiNkis tarah tumko banaa louN maiN shareek-e-zindagii (part of life)maiN to apni zindagii kaa baar (weight) uThaa saktaa nahiiNyaas (disheartened, sad) ki taareekiyoN (darkness) meiN Doob jaane do mujheab maiN sha’ma-e-aarzoo (candle of desire, light of desire) ki lau baRhaa saktaa nahiiN

No comments:

Post a Comment