Monday, June 13, 2011

Main Aisa Kyun Hoon???













Kyon khush ho jata hoon main
tumhari khushi dekh ke
kyon ho jaata hoon main hatash
tumhein udhas dekh ke…

Chahek sa uthta hoon main kyun
jab milne ki baari aati hai
par kyon milne ke baad ghanto
neend nahin aati hai…

Aankhein band karne se kyun
yaad tumhari aati hai
par jab khulti hain toh
kyon phir tu saamne aati hai…

Aansoo tere tapakte hain
to main kyon sisakta hoon
zara sa tu hasti hai
toh main kyon nikharta hoon..

Jab bhi dekhta hon tumhein
bas yeh sochta hoon
puchhoon tumse ya tumse kahoon
rakhun dil mein ya yeh baat keh doon…

Sun zara bas itna bata
Main aisa kyun hoon
Main aisa kyun hoon…

1 comment: