Thursday, June 16, 2011

Kuch Door Hamare Saath Chalo

कुछ दूर हमारे साथ चलो
हम दिल की कहानी क़ेह देंगे
समझे न जिसे तुम आँखों से
वो बात ज़बानी क़ेह देंगे
Kuch door hamaare saath chalo
Hum dil ki kahani keh denge
Samjhe na jise tum aankhon se
Wo baat zabanee keh denge
*******************************************

फूलों की तरह जब होटों पे
शोख तबस्सुम बिखरेंगे
धीरे से तुम्हारे कानों में
बात पुरानी क़ेह देंगे
Phoolon ki tarah jab hoton pe
shokh tabassum bikhrenge
Dheere se tumhare kaanon mein
baat puraanee keh denge
*******************************************

जब तुम नहीं तो चाँद सितारों का क्या करूँ,
जीवन खिजाँ है तो फिर बहारों का क्या करूँ,
रहमो-करम पे दरिया के कश्ती में चल दिया,
मंझदार में तूफ़ान है तो किनारों का क्या करूँ,
हर एक कदम पे फासला दोनों में बढ़ गया,
अब बीच में उठी हुई दीवारों का क्या करूँ,
वीरान जिन्दगी है और आँखों में मायूसी,
इस आलम में खूबसूरती के नज़ारों का क्या करूँ !

Jab tum nahin to chand sitaron ka kya karoon,
Jeevan Khizan hai to phir baharon ka kya karoon
rehm-o-karam pe dariya ke kashti mein chal diya,
manjhdhar mein toofan hai to kinoron ka kya karoon,
har ek kadam pe faasla dono mein badh gaya,
ab beech mein uthi hui deewaron ka kya karoon,
veeran zindagi hai aur aankhon mein mayoosi,
is aalam mein khubsoorti ke nazaron ka kya karoon !

No comments:

Post a Comment